Saturday 3 July 2010

raaz

Ek raaz نزم-اك راز

Labon men thahre huye

Jazbaat – iktak dekhte rahe

Ik dhuwan saa uthata raha

Door kisi waadi men--------

Tamaam umr ik intezaar

Raat pighalti rahi

Din karwat badalte rahe

Dil ki gahraiton men

Kisi ki parchhaiyan------

Tairati rahin—dam-b-dam

Girti uthti saanson

Shamil ik ajnabi ne

Zindgi hamari

Ik raaz banaye rakha

Nighahen milaane se bhi

Dar sa lage hai ---

O raaz kahin jaahir na

Ho jaaye— ke ham tumse

Mohabat karte hain.

--- S.SANYAL

ايس-سانيال

No comments:

Post a Comment